Cutting Length of Rectangular Shape Stirrups

Join us on Youtube (Subscribers - 730K) Join Now
Join us on WhatsApp Join Now
Join us on Facebook Join Now
Join us on Telegram Join Now
Join us on Instagram Join Now
Join us on Pinterest Join Now

Hello Friends. This is Mukesh from Learning Technology. Aaj ke post me mai apko bataunga How To Calculate Cutting Length of Rectangular Shape Stirrups atΒ Construction Site Thoeretically.

Mujhe pata hain ap log sab iske liye bahut excited ho. To chaliye copy pen le ke baith jaiye aur ha ek request hain, agar ye post apko pasand aye to ise jarur apne Civil Engineer Friends aur Juniors ke sath jarur share kare. Kiu ki kuch responsibility apki bhi hain is Nation ko aage badhane mein.

To chaliye post ki taraf age badhte hain.

Cutting Length of Rectangular Shape Stirrups


Cutting Length of Rectangular Shape Stirrups

 

Sab se pehle upar diye hue Figure me given kya kya hain use check kar lete hain.

Column ka Size hai = 600 mm x 400 mm

Main Vertical Bar ka diameter maine yaha consider kiya hain = 20 mm

Clear Cover hain = 40 mm (Concrete Surface aur Stirrups ke Outer Face ke bich ke gap ko Clear Cover kehte hain)

Rectangular Shape Stirrups, Jiska hame Cutting Length nikalna hai uska dia maine consider kiya hain = 8 mm

Ab ap niche diye hue Figure me dekhenge ki maine Rectangular Shape Stirrup ka Single Line Diagram banaya hain aur maine har side ko ek name diya hain. Jaise LENGTH ko maine consider kia hain β€˜A’, aur BREADTH ko maine consider kiya hain β€˜B’. Agar hum ye dono length ko nikal lete hain to hamara kam asan ho jayega. Toh Chaliye ek ek karke apko batata hu in sab ko hum kaise nikalenge.

Cutting Length of Rectangular Shape Stirrups

To sab se pehle mai apko batata hu β€˜A’ ka lenth kaise nikalna hain.

β€˜A’ ka length nikalna bahut asan hain. Agar hum Stirrups ke outer to outer length ko nikal lenge to β€˜A’ ka length nikal jayega. Agar ap niche diye hue formula ko dekhenge to samajh jayenge.

READ MORE

CALCULATION OF β€˜A’

(Length of Column) – (2 x Clear Cover)

= 600 – (2 x 40)

=600 – 80

= 520 mm

Ab hum nikalenge β€˜B’ ka length.

β€˜B’ ka length bhi hum same upar jaise tarike se hi nikalenge. Isme mein bhi hum Stirrups ke outer to outer length ko nikalenge. Agar ap niche diye hue formula ko dekhenge to samajh jayenge.

CALCULATION OF β€˜B’

(Length of Column) – (2 x Clear Cover)

= 400 – (2 x 40)

=400 – 80

= 320 mm

Bas Apna kam ab asan ho gaya hain. Ab hum bas ek simple se formula ko use kar ke Cutting Length of Rectangular Shape Stirrups ko nikal sakte hain.

CUTTING LENGTH OF RECTANGULAR SHAPE STIRRUPS


= (2 x A) + (2 x B) + HOOK – BEND

Upar diye hue formula me β€˜A’ aur β€˜B’ hame pata hain.

HOOK maine yaha consider kiya hain (10d), where β€˜d’ is the dia of the Stirrups. HOOK ka value apko apne Structural Consultants ke diye hue drawing se mil jayega. Aur agar nahi diya hai to ap 10d consider kar sakte hain. To hamara HOOK ka value nikalne ke lie niche dekhe :

HOOK = (2 x 10d) = (2 x 10 x 8) = 160 mm

Ab baat ati hain Bend Deduction ki. To Figure me hum dekh sakte hain ki yaha pe total 5 Bend hain. Jisme 2 Bend aisa hai jiska angle 135 degree hai aur 3 Bend aisa hai jiska angle 90 degree hai. To hum 1 – 135 degree ke lie β€˜3d’ deduct karenge aur 1 – 90 degree ke lie β€˜2d’ deduct karenge. To hamara BEND deduction ka value ho jayega :

BEND DEDUCTION for 135 degree = (2 x 3d) = (2 x 3 x 8) = 48 mm

BEND DEDUCTION for 90 degree = (3 x 2d) = (3 x 2 x 8) = 48 mm

Ab ap dhayan se dekhiye jo value main formula me put kar raha hu.

= (2 x A) + (2 x B) + HOOK – BEND

= (2 x 520) + (2 x 320) + 160 – 48 – 48

= 1744 mm, OR 1.744 metre

SHARE THIS POST, IF YOU LIKE IT !!
Padhega India Tab Hi Badhega India |Β ΰ€ͺΰ₯ΰ₯‡ΰ€—ΰ€Ύ ΰ€‡ΰ€‚ΰ€‘ΰ€Ώΰ€―ΰ€Ύ ΰ€€ΰ€¬ ΰ€Ήΰ₯€ ΰ€¬ΰ₯ΰ₯‡ΰ€—ΰ€Ύ ΰ€‡ΰ€‚ΰ€‘ΰ€Ώΰ€―ΰ€Ύ

1 thought on “Cutting Length of Rectangular Shape Stirrups”

Leave a Comment