Volume of One bag Cement in Cubic Feet

Join us on Youtube (Subscribers - 730K) Join Now
Join us on WhatsApp Join Now
Join us on Facebook Join Now
Join us on Telegram Join Now
Join us on Instagram Join Now
Join us on Pinterest Join Now

Hello Friends. This is Mukesh from Learning Civil Technology. Aj ke post me hum janenge ki ek 50 KG bag wali Cement bag ka Volume, Cubic Feet (CFT) mein kitna hota hain. Post ko end tak jarur padhe taki apki choti si choti doubt ko hum clear kar sake. Uske bad bhi agar apki koi doubt reh jati hain to ap comment mein humse pooch sakte hain. Hum poori khosish karenge apko poori tarah guide karne ki. Volume of One bag Cement in Cubic Feet in Hindi.

Ek Bag Cement ki Volume, Cubic Feet me 1.226 Cubic Feet (CFT) hoti hain. Ab apke man me ye sawal jarur ayega ki ‘Kaise’? To ghabraiye mat. Hum yaha pe bahut hi asan tarike se apko batayenge How to Calculate the Volume of one 50 KG Cement bag in Cubic Feet.

Mujhe pata hain ap log sab iske liye bahut excited ho. To chaliye copy pen le ke baith jaiye aur ha ek request hain, agar ye post apko pasand aye to ise jarur apne Civil Engineer Friends aur Juniors ke sath jarur Share kare. Kiu ki kuch responsibility apki bhi hain is Nation ko aage badhane mein.

To chaliye post ki taraf age badhte hain.

Volume of One bag Cement in Cubic Feet


Hum savi jante hain Cement ki Density Loose condition mein kitni hoti hain. Agar nahi jante hain to jan lijiye. Cement ki Density, Loose Condition mein hoti hain 1440 KG per Cubic Meter. Isme 1440 KG, Cement ka ‘Mass’ hain jo ki Ek Cubic Meter Volume ke barabar hota hain.

To hum ye likh sakte hain upar wale line ke hisab se.

For 1 Cubic meter Volume, Cement Required = 1440 KG

Hum savi jante hain, Ek Bag Cement ka Weight, 50 KG hota hain. Toh agar hum 1440 KG ko Ek Bag Cement ke Weight se divide kar de toh hamara Cement Required in Number of Bags nikal jayega.

 For 1 Cubic meter Volume, Cement Required = 1440 / 50 = 28.8 Bags ………(1)

Ise hum Expression (1) maan lete hain.

Agar ap Unit Conversation jante hain to ye bhi jante honge ki agar hum 1 Cubic Meter Volume ko Cubic Feet me convert kare to uska value hoga 35.3147 Cubic Feet. Toh hum ise aise bhi likh sakte hain,

1 Cubic Meter = 35.3147 Cubic Feet ………(2)

Ise hum Expression (2) maan lete hain.

Ab hum Expression (1) aur Expression (2) ko equally equate kar ke dekhte hain kya hota hain.

From Equation (1) and (2), We get

28.8 Bags = 35.3147 Cubic Feet

Yaha se hum Unitary Method ki help se, Ek Bag me kitna Cubic Feet hoga wo nikal lete hain.

1 Bag = (35.3147/28.8) Cubic Feet

Or, 1 Bag = 1.226 Cubic Feet

Toh is tarah se hum Ek Bag Cement ka Volume, Cubic Feet me nikalte hain.

ALSO READ

Agar Post apko kam ki lagi ho to ise apne Friends aur Juniors ke sath Social Media Platform pe jarur Share kare taki iska faida jada se jada Civil Engineer utha sake aur apna bhavisya bana sake.

Below I Am Uploading My Hand Made Documents For You Only On Your Request, So That You Can Download It From Here. But One Thing Keep In Mind That This Is Only The Hand Made Notes.

If You Want Detailed Knowledge Then Watch My Video On YouTube Channel: Learning Civil Technology.  I Am Telling This Because Many Important Points I Have Covered During Making Of Video, So If You Want To Know In Detail Then Watch My Video On YouTube Which is Given Below.

You can also follow me on Instagram, Telegram and Facebook page. Because many small things, which are very important from interview point of view, it is not possible to put here, I put all that on Instagram, Telegram and Facebook page. You can take it from there. You will find the links of all social media below.

INSTAGRAM     |     TELEGRAM     |     FACEBOOK PAGE

If you have liked this post of mine, then use the social link given below and share it among your friends on social media. Thanks
SHARE THIS POST, IF YOU LIKE IT !!
Padhega India Tab Hi Badhega India | पढ़ेगा इंडिया तब ही बढ़ेगा इंडिया

3 thoughts on “Volume of One bag Cement in Cubic Feet”

Leave a Comment